Thursday, 21 July 2016

Tasawur42

                              Dedicated to Urvashi Rautela           

Abad-ur-Rehman kya khob kaha hai kisi nay andhayray k bad ujala hai
Urvashi rautela ham nay tayra nam apnay nam k darmiyan sanbhala hai.
-------->

                                                                  <-------- 
    Husnay yusuf nay to zulekha ko bhi devana kiya
Aaj ham devanay hovay jatay hain to kon sa jurm kiya.
Ay qatil hasina hamain mat karna kiss
  Ham to pehlay say hi hain dismiss.
Han han han ham hain qasoor war 
    Tujh say kar bethay hain pyar.
Dunya valon say nahi dartay pyar karnay valay
Bhalu ye devanay sarey aam izhar karnay valay.   
Dil pehlay kya kam zakhmi hai jo tun apnay zakham dikha rahi hai
Ay sanam ham pehlay say ro rahay hain kyun mazeed rula rahi hai. 












  




Shayad log theeh hi kehtay hain ham pagal hain
Ye puri bat nahi jantay tayray pyar me pagal hain.
  Urvashi rautela ham dil jalay nahi phir bhi tun hamara dil jalati hai
Tayray shubh chintak ham hain aur tun dosron ki banhon me jati hai.
Wah bhalu wah kya tujhay aurton me koi pasand na aie
               A ja kay dil bhi aya to aik churail pay.
Aray ham nay kaha urvashi ge sunti ho kya
    Ye jo marz lahaq hova hai ab me gaya.
  
 
     Urvashi tayri lagai aag say mom bati ki tarah pigaltay rahain gay
Ab aik ehsan aur karna khatam honay say pehlay hamain bhuja dayna.
Ab to sab kuch chor diya deen dharam iman
   Ab to maan ja urvashi rautela meri jaan.
Ay urvashi rautela tun jaisay kahay ge vaisay kar lain gay
   Tun kahay ge to tasbi par tayra nam bhi parh lain gay.
Tun nay hamain kafir nahi kiya hamaray apnay iraday napak hain
       Tun husn ki malka hai ham to tayray paon ki khak hain.
   Kahin ranjha kahin jogi to kahin heer hai
Urvashi rautela me tayri zaulfon ka aseer hai.
  Pehlay to sirf batain sunatay thay ab tanay bhi dain gay
Bhalu baglol ye musalman ab tujh say pura badla lain gay.
  
        itna bhi devana na karo k ham bay khud ho jain
Kuch hosh na rahay baqi tujhay bhi ham pehchan na pain.
Kyun galyon me phirana chahatay ho kyun majnu banana chahatay ho
      Sanam ham nay tumhara kya bigara hai kyun itna satatay ho.
Khata chahay tayri ho ilzam ham apnay sir lain gay
Ay meray sanam tujh par aanch na anay dain gay.
Mahabat par zoor chalta nahi hai urvashi
Kabhi hosh ata hai kabhi tari hoti hai gashi.
Ham par kya beet rahi hai jab ho ga tujhay maloom
Tun bhi udas ho jaAy ge chahay ird gird ho hajoom.
      Tayri picture k sath sath mera dil bhi chori ho gaya hai
Ay urvashi rautela thora nahi bohat zaida nuqsan ho gaya hai. 
  

 Ye kalay badal chat jain gay barish honay ki dair hai
    Ay sanam na umeed na ho raat k bad savair hai.
Husn dikhanay k liye hota hai chupanay k liye nahi
     Ye bat tujhay daikh kar meri samajh me aie.
   Wisaal k bad judai ka gam aur bhi pagal karta hai
Bhalu baglol keh day ashiq isi liye visaal say darta hai.
Sanam jab say tayri zulf k aseer hovay hain
 Bagair zaban k hi ham tafseer hovay hain.



     Hamaray pyar me sachai hai phir kyun kar rahi hai bay vafai
Urvashi ab tujhay kitni dafa batain tun hi hai hamaray marz ki davai.
Sanam qasam par yaqeen hai laykin ham par nahi
    Aik bat yad rakh doodh say hi banta hai dahi.
  
     


Mujhay devi say mahabat hai aur tujhay bhagvan say
Ham mahabat kar bethay hain malkae hindustan say.
      Hon to Pakistani par dil hindvani pay aya hai
Mahabat nay madhu ko Laal hussain say milaya hai.



Urvashi rautela kaisay kaisay rang dikhati hai ye qudratey khudavandi
                  Aqal dang reh jati hai ban kar ishq ki bandi.
Najanay kab ho ge ham par meharban
Ye husn ki malka ye malkae hindustan.
          Ab maan bhi ja kya bachay ki jaan lay ge
Ay urvashi ay hindvani tun Pakistani ka imtihan lay ge.
Ay urvashi paas hova to tun meri aur ho gaya jo me fail
To phir apnay dil ka darvaza khol dayna yehi hai meri jail.
  Na hamari mahabat andhi na hamari mahabat behri
Daikho jahan valo hamari mahabat khobsorat aur gehri.
 
           

            Kashmir ki tarah tukray na karna
Hamain hamari mahabat sahi salamat chahiye.
   Ay sanam tareef us khuda ki jis nay tujhay banaya
Me kuch na janta tha mujhay qalam say likhna sikhaya.
 India valo ya kashmir day do ya phir mujhay ye meri kheer day do
Zulm mat karo aur kuch nahi dayna to urvashi ki aik tasveer day do.
 



Ay sanam tayri yad me guzartay hain hamaray shab-o-roz
 Ham gam say nidhaal hain log ho rahay hain lutf andoz.
Ay sanam na tayray ghar ki na tayray dar-o-devar ki
   Mujhay zaroorat hai to sirf aur sirf tayray pyar ki.
       Tun na mili to tayri yadon k saharay je lain gay
Ay sanam ham zindagi ka ye karva ghont bhi pe lain gay.
Jagah jagah tayri yadon k nishan choray hain
   Ab bhi tun kehti hai ye ansoo thoray hain.
    Jo cheez ho hi tareef k laiq us ki tareef na karain to aur kya karain
Dosto tum khud hi batao aisi khobsorat cheez pay marain ya na marain.
                                      


Ay sanam kaisay bhol jaon tujhay
  Salon bad tun mili hai mujhay.
Ab sochna kya hai samajhna kya hai
   Tun hi hamaray marz ki dava hai. 
Ay sanam ay mehbob ay dilbar
Jaldi kuch kar varna gaAy mar.
Ay sanam pyar me kya sarhad kya devar
  Ab aur kitna tarpaAy ge bas kar yaar. 
Ay meray mashoq ay meray jani
Mera pyar daimi ye duniya fani.  
Uqab k liye kya sarhad aur kya pabandi
      Bus nazar me A gai hai aik bandi.
 

Najanay kab sunay ge shairay Pakistan ki awaz malkae hindustan
      Ay meray sanam ham zameen hain aur aap hain asmaan. 
Kashmir ki tarah siyasat ki nazar na kar dayna mera pyar
Lakhon karoron me bohat mushkil say dhonda hai aik yar.
Tayray pyar me dar badar ki thokrain khatay hain
 Ab to log bhi hamain sain keh kar bulatay hain.
Sain ko urvashi rautela say ho gaya hai pyar
   Sainyon k senay me bhi dil hota hai yar.
       Ab kya karain churail pay dil agaya hai
Ham to koi bhot bhagao mantar bhi nahi jantay.
Tayra pyar rolata hai to rotay hain tayra pyar solata hai to sotay hain
 Ay meray sanam jab tayra pyar nahi hota to ham bhi nahi hotay hain. 
Horon say bhi zaida haseen hai mera mehboob
     Rab nay banaya hai isay bohat hi khoob. 
                     
        

         Na me zardari na no lakh hazari
Urvashi rautela me tayra premi tayra pojari. 
Kabhi socha na tha sach me ho jaAy ga pyar
  Bhalu baglol ab to karna hi paray ga iqrar.
  Misley faqeer maang rahay hain tayray pyar ki bheak
Urvashi ham chahatay hain tum ho jao hamaray nazdeek.
Na me ashiq na mashoq na kalima parhan
Din hovay ya rat bus urvashi urvashi karan.
        Kai taro tar tar dubay paar koi na javay
Ay ishq samundar aisa jida kinara nazar na avay.
Kadi edar nasan kadi odar nasan kidan jaan chadavan
       Ay zalim jaan na chaday hun me kidar javan.              
 
Sanam tun yunhi sada hansti rahay muskurati rahay
     Ye dua hai hamari tun yunhi khilkhilati rahay.
Man ja urvashi rautela tenu vaasta e shirin farhad da
Hoor kida vasta dayvan tenu vaast e apnay Abad da.
Kab tak lay ge yunhi meray sabr ka imtihan
Ay urvashi rautela ab bas bhi kar meri jaan.
Ay urvashi rautela tayray agay sajda karta hun tayray agay sir jhukata hun
       Jab bhi tayra nam meri zaban par ata hai to me kafir ho jata hun.
Pyar ho ya nafrat banda bhatak hi jata hai
 Bhalu baglol to tujhay sach hi batata hai.
                       
                

Ham iqrar kar rahay hain aur mashoq kar rahi hai inkar
        Yehi to hai pyar ka pehla darja meray yar.
Hamaray liye to itna hi bohat hai k tayray qadmon me jaga mil jaAy
Jab bhi ham pukarain urvashi rautela to hamaray dil ki kali khil jaAy. 
Abad-ur-Rehman kya khob kaha hai kisi nay andhayray k bad ujala hai
Urvashi rautela ham nay tayra nam apnay nam k darmiyan sanbhala hai.----->
 
 

    
    Jism to wo maangtay hain jo havas k pojari hon
Urvashi rautela jo roader ki tarah aurton k shikari hon.
Dil da takt tayray vastay sajaya
  Tayra intezar kita tun na aya. 
    Tayray ishq say hi ham nay faiz paya hai
Khuda gavah hai har darvaza khatkhataya hai.
    Na ham peer na faqeer na hi tayray hath ki lakeer
Phir bhi khainch lay ham ko baandh kar pyar ki zanjeer.

                                       

Tayray nam say door ho jaon ye mujhay ganvara nahi
  Urvashi tayray nam k siva mera aur koi sahara nahi.
Har lamha pakaon ga tayray nam ka vird
       Tanhai ho ya hajoom ho ird gird.
         Na me shirin farhad na me ashiq namurad
Abad-ur-Rehman mera nam hai me hun banda azad.
     Na me laila na majnu na hi qais devana
Urvashi tun meri shama hai me teyra parvana.
   Ay urvashi tayray ishq ki agg me jalta rahun ga
Teesray janam me bhi me tujh pay marta rahun ga.
Ab to hon gay meri mahabat k charchay
Jis nay katvanay hain katva day parchay.
      Khud ko bhol jain gay par tujhay bhol na pain gay
Ay urvashi rautela ham kabhi bhi tujh say door na jain gay.
Urvashi kitnay aram say tun nay hamain keh diya beygana
       Kya ye hai tayra ham say door rehnay ka bahana.
Apnay ishq me jalao hamain ganga me bahao
    Ay urvashi rautela ham say door na jao.
        Ab to rehta hai tayray ishq ka khumar
Urvashi hamara bhi hota hai talibon me shumar.
Mamla thanda honay ki bajaAy aur garam ho raha hai
        Ye dil jo kabhi pathar tha narm ho raha hai. 

  
           Tun sirf husn ki hi nahi meray dil ki bhi rani hai
Urvashi rautela ab to is duniya me apni bhi prem kahani hai.
       Tayray hi nam ki tilavat kartay hain
Ay sanam ham urvashi urvashi parhtay hain.
Ye meri bay loos mahabat savab ki nahi talabgar
      Ay urvashi rautela bas tun razi ho ja yar.
      Ham to marnay ja rahay thay tujhay daikh kar ruk gaAy
Tujh me khuda ka husn kya daikha tayray samnay jhuk gaAy.

       
        Na me gaib daan na gaib dani karta hun
Kitni bar bataya hai urvashi rautela pay marta hun.
    Ye jo tayray pyar ki thandi thandi havain hain
Urvashi rautela ye kisi ashiq ki hamain duain hain.  
Tun hamara chaand hai tujhay daikh kar eid manatay hain
    Ay urvashi khuda ko chor kar ab tujhay manatay hain.

Ab shehad ko banda chatay na to aur kya karay
   Kya sirf daikhnay k vastay bottle me bharay. 
Khatam na ho ge yunhi mahabat ki dastaan
Ye dastaan sunay ga Pakistan-o-Hindustan.
Qasoor hamara hi hai ham Rab ko kehtay thay hamain Azma
  Ay urvashi hamain kya maloom tha qabool ho jay ge Dua.
       Ya Rab galti ho gai ab tun hi mujhay bacha
Me rastay say bhatak gaya hun sedhay rastay pay la. 
Tun khud soch mujh jaisa bhi tayri tareef kar raha hai
  Ay urvashi tun kya cheez hai tujh pay mar raha hai.
Tun nay hamari bees saal ki riyazat pay pani phayra hai
Ay urvashi rautela tun nay hamari dukti rag ko chayra hai.
Suna tha tayray shehar me har marz ki dava milti hai
   Par yahan A kar pata chala yahan to bijli girti hai.
Truck driver hota to puray truck par tayra nam likhvata
Ay urvashi rautela devangi ki sari hadain paar kar jata.
Ay urvashi rautela ham bharnay par ayn to register k register bhar dain
Samundar ko siyahi bana kar tayra nam likhtay jain samundar khali kar dain.   
Ham sain log hain jis say dil lagatay hain us ko palkon pay bithatay hain
  Urvashi rautela zameen par gira bhi ho to asmaan talak lay jatay hain.    

Ham tayray ashiq hain par mashoq bhi to hain
Kuch tun apni manva kuch hamari bhi to maan.
Jab banaya hoga yusuf ko kuch husn tayray liye bachaya hoga
          Ay urvashi rab nay ye raz kisi ko na bataya hoga.
   Log sasi punu ki khushbu bhol jain gay
Ay urvashi tujhay ham aisa phol banain gay. 
Ham musalmano ki tarah qasam nahi khatay varna qasam kha laytay
     Tayray husn me rab ka jalva hai is raaz say parda utha daytay.
Faqeeri bhi gai peeri bhi gai ab to kafir banay phirtay hain
Khuda ka dar chor kar urvashi rautela k dar pay girtay hain.
Kabhi socha na tha koi hamain bhi pigla sakta hai
 Ay urvashi ham jaisay sain ko bhi hila sakta hai.
Urvashi tun mera shehad tun meri shifa
      Tun hai meray har marz ki dava.
       Tujhay khud pay yaqeen na ho ga tayri itni tareef karain gay
Urvashi rautela qomi taranay chor kar ham tayray taranay parhain gay.  

Uff uff ye tayra husn qiyamat dhaAy
Urvashi hamari to jaan hi nikalti jaAy.
Urvashi kya cheez hai tun kahan say A gai hai
  Tujhay aur koi na mila mujh pay cha gai hai.
Meray waham-o-guman me bhi na tha k Rab ka jalva tujh me nazar aAy ga
Ay urvashi rautela Sain baglol jaisa sain aik aurat say shikast khaAy ga.
Urvashi us ka jalva tujh me na hota to me tujh pay na marta
Mujhay koi aik crore bhi dayta to bhi tayri itni tareef na karta.        
       

Khud pay bohat maan tha na tujhay Abad
   Kar diya urvashi k ik jalvay nay barbad.
Ay urvashi rautela salon tak riyazat ki aur khud ko pakaya
  Sanam jab say tujhay daikha hai me pigalnay pay aya.
Urvashi rautela tujhay kuch andaza bhi hai me kis had tak tujhay chahata hun
      Jab tayra nam ata hai to me har had say guzar jata hun.
      Me tujhay kya bataon k me tayra kon hun kya hun
Urvashi rautela bus itna samajh lay me tayray liye dua hun.
Mohtarma urvashi sahiba daikha na ho ga tum nay ham jaisa sirphira
      Ay sanam jo tayri mahabat me arsh say farsh par A gira.  



Ay urvashi rautela tun jadogarni hai tun nay ham pay jado kiya hai
    Sanam sirf itna bata day ham say kis cheez ka badla liya hai.
Ay urvashi rautela tun lay dobi hamain apnay pyar k darya mein
Qais ban kar devana vaar phir rahay hain ishq ki ibtada mein. 
  Urvashi rautela tayra bagair ab raha nahi jata
Ab ham say judai ka dard mazeed saha nahi jata. 
Tun galib me magloob me katib tun maktoob
Me qasid tun maqsood me shamal tun janoob
  Me avain e tun bohat khob tun bohat khob.   
          Ay meri janay man janay jigar
Ham dhondhtay rahay tujhay kidhar kidhar
     Gali gali shehar shehar nagar nagar.                         
                        Reply To Urvashi Rautela
         Tun khud kehti thi I wanna tayra ishq ishq jania
Tayri khavahish puri kar de ban gaya tayra lover hindvania.
Tujh par apnay pyar ka shower barsaon ga
   Phir khud bhi isi shower me nahaon ga.
             Na ab tayri body tarpay ge na soul ray
Urvashi ham dain gay tujhay pura pyar aur protocol ray.
Ay urvashi rautela hamaray sath bhi kar kuch masti
Ham bhi cahahatay hain fana ho jaAy hamari hasti.
Urvashi rautela chal aik dosray me ho jain Mix
         Ab to ye mamla aisay hi ho ga Fix........     
   
                              Love 
Hazratey ishq BalaAy Konain Translation
            Mahabat Char tarah par hai. 
1.Fitrati mahabat jo jandaron me pai jati hai.
2.Aisi mahabat jis ka maqsad sirf apni havas puri karna hota hai.
3.Aisi mahabat jis me mashoq ki talab aur deed ki agg me jal kar talib kundan banta hai.
4.Aisi mahabat jo khuda aur paigambar ki raza k hasool k liye ho jis ki misaal Sahaba ki mahabat hai.

Abad-ur-Rehman kya khob kaha hai kisi nay andhayray k bad ujala hai
Urvashi rautela ham nay tayra nam apnay nam k darmiyan sanbhala hai.----->

      
<------------------------------------------------------------------------------------->
  -------------------------------------------------------------------------------------
Sain baglol bhul janday kalimay bhul janday quran
   Asan navay siray ton hovan gay fair musalman. 
ishqey majazi misley chand ishqey haqiqi misley aftaab
            Ay javan ab tun lagata reh hisab kitab. 
Wo dunya ka khaliq wo dunya ka malik
Me to hun rahay salook ka adna salik.
         Kasoor kis ka hai ye janay bagair
Kab tak yunhi meri galtiyan gintay raho gay.
Ay muslim kya kaha khuda ki qasam
      Ye bhi hai aaj kal aik rasam.
Do char rooz nimaz kya parhi chuti hi nahi mil rahi
Astagfar kar rahay hain laykin mafi hi nahi mil rahi.
   Bevi wohi achi jis say shohar ko milay rahat
Bazurg wohi acha jo dil khol kar karay sakhavat.
Jan layva khail hai nafi asbaat ka
Faqar wahdat aur zaat-o-sifaat ka.
Hazrat umar ka vajood parhta tha darood
 Phir kaisay qareeb ata shatan mardood.
Mashoq chahat hoti hai aur bevi rahat hoti hai
    Bay sharm aurat hi gairon k sath soti hai.
Jo patang urana jantay hain wo patang girana bhi jantay hain
   Bhalu baglol hamara ishq jhota hai ham ye maantay hain.
Ashiq to mashoq me hi gum rehta hai
  Jo kehta hai mashoq hi kehta hai.
        Ye aaj k darhi valay nojavan
Petay hain cigarette chabatay hain pan.
Ye zikr fikr ye maraqbay ye paas anfaas
Ay talib ye bhuja nahi saktay tayri pyas.
    Kya hai razey fana-o-baqa
Ashiq mashoq say nahi hai juda.
CSS vala bhi road block honay ki vajah nahi bata sakta
       Ye aisa mulk hai jo koi usool nahi apna sakta.
  
Ham say dil lagana hai to dil lagi chor do
   Ye jo sharab ki bottle hai ye toor do.
Bhalu baglol jahan mashoq vahan ashiq jahan ashiq vahan mashoq
                     Ab to hal ho gaya ye masla hazar nazar.

Visit   www.Tasawur43.blogspot.com      
  

 
 
     

  

No comments:

Post a Comment